Kahee kartee hogee vo meraa intjaar

कही करती होगी वो मेरा इंतजार
Year
Language

कहीं करती होगी वो मेरा इंतजार
जिसकी तमन्ना में फिरता हूँ बेकरार

कहीं बैठी होगी राहों में, गुम अपनी ही बाहों में
लिए खोई सी निगाहों में खोया खोया सा प्यार
छाया रुकी होगी आँचल की, चुप होगी धुन पायल की
होगी पलकों में काजल की खोई खोई बहार

दूर जुल्फों की छाँव से, कहता हूँ ये हवाओं से
उसी बुत की अदाओं के अफ़साने हज़ार
वो जो बाहों में मचल जाती, हसरत ही निकल जाती
मेरी दुनिया बदल जाती, मिल जाता करार

अरमान है कोई पास आये, इन हाथों में वो हाथ आये
फिर ख्वाबों की घटा छाये, बरसाये खुमार
फिर उन ही दिनरातों पे, मतवाली मुलाक़ातों पे
उल्फ़त भरी बातों पे, हम होते निसार

kahīṅ kartī hogī vo merā iṅtjār
jiskī tamannā meṅ phirtā hūṇ bekrār

kahīṅ baiṭhī hogī rāhoṅ meṅ, gum apnī hī bāhoṅ meṅ
lie khoī sī nigāhoṅ meṅ khoyā khoyā sā pyār
chhāyā rukī hogī āṇchal kī, chup hogī dhun pāyal kī
hogī palkoṅ meṅ kājal kī khoī khoī bahār

dūr julphoṅ kī chhāṇv se, kahtā hūṇ ye havāoṅ se
usī but kī adāoṅ ke afsāne hazār
vo jo bāhoṅ meṅ machal jātī, hasrat hī nikal jātī
merī duniyā badal jātī, mil jātā karār

armān hai koī pās āye, in hāthoṅ meṅ vo hāth āye
phir khvāboṅ kī ghaṭā chhāye, barsāye khumār
phir un hī dinrātoṅ pe, matvālī mulāqātoṅ pe
ulfat bharī bātoṅ pe, ham hote nisār