Kahaan jaa rahaa hai too ai jaane vaale

कहाँ जा रहा है तू ऐ जाने वाले
Work
Year
Language

कहाँ जा रहा है तू ऐ जाने वाले -2
अँधेरा है मन का दिया तो जला ले
कहाँ जा रहा है …

ये जीवन सफ़र एक अंधा सफ़र है -2
बहकना है मुमकिन भटकने का डर है -2
संभलता नहीं दिल किसी के संभाले
कहाँ जा रहा है …

जो ठोकर न खाए नहीं जीत उसकी
जो गिर के संभल जाए है जीत उसकी
निशाँ मंज़िलों के ये पैरों के छाले
कहाँ जा रहा है …

कभी ये भी सोचा कि मंज़िल कहाँ है -2
बड़े से जहाँ में ( तेरा घर कहां है ) -2
जो बाँधे थे बंधन वो क्‌यों तोड़ डाले
कहाँ जा रहा है …

kahāṇ jā rahā hai tū ai jāne vāle -2
aṇdherā hai man kā diyā to jalā le
kahāṇ jā rahā hai …

ye jīvan safar ek aṅdhā safar hai -2
bahaknā hai mumkin bhaṭakne kā ḍar hai -2
saṅbhaltā nahīṅ dil kisī ke saṅbhāle
kahāṇ jā rahā hai …

jo ṭhokar na khāe nahīṅ jīt uskī
jo gir ke saṅbhal jāe hai jīt uskī
niśhāṇ maṅziloṅ ke ye pairoṅ ke chhāle
kahāṇ jā rahā hai …

kabhī ye bhī sochā ki maṅzil kahāṇ hai -2
baṛe se jahāṇ meṅ ( terā ghar kahāṅ hai ) -2
jo bāṇdhe the baṅdhan vo k‌yoṅ toṛ ḍāle
kahāṇ jā rahā hai …