कई सदियों से, कई जनमों से
कई सदियों से, कई जनमों से -2
तेरे प्यार को तरसे मेरा मन
आ जा
आ जा के अधूरा है अपना मिलन
कई सदियों से
(राहों में कहीं, नज़र आया
अपने ही खयालों का साया) -2
कुछ देर मेरा मन, लहराया
ओ ओ ओ, फिर डूब गई आशा की किरण
आ जा
आ जा के अधूरा है अपना मिलन
कई सदियों से
(सपनों से मुझे, न यूँ बहला
पायल के खोये गीत जगा) -2
सुनसान है जीवन की बगिया
ओ ओ ओ, सूना है बहारों का आँगन
आ जा के अधूरा है अपना मिलन
कई सदियों से
kaī sadiyoṅ se, kaī janmoṅ se -2
tere pyār ko tarse merā man
ā jā
ā jā ke adhūrā hai apnā milan
kaī sadiyoṅ se
(rāhoṅ meṅ kahīṅ, nazar āyā
apne hī khayāloṅ kā sāyā) -2
kuchh der merā man, lahrāyā
o o o, phir ḍūb gaī āśhā kī kiraṇ
ā jā
ā jā ke adhūrā hai apnā milan
kaī sadiyoṅ se
(sapnoṅ se mujhe, na yūṇ bahlā
pāyal ke khoye gīt jagā) -2
sunsān hai jīvan kī bagiyā
o o o, sūnā hai bahāroṅ kā āṇgan
ā jā ke adhūrā hai apnā milan
kaī sadiyoṅ se