Kaee baar yoon bhee dekhaa hai

कई बार यूँ भी देखा है
Year
Language

कई बार यूँ भी देखा है
ये जो मन की सीमा रेखा है, मन तोड़ने लगता है
अन्जानी प्यास के पीछे, अन्जानी आस के पीछे, मन दौड़ने लगता है

राहों में, राहों में, जीवन की राहों में
जो खिले हैं फूल, फूल मुस्कुरा के
कौन सा फूल चुरा के, रखूँ मन में सज़ा के

जानू ना, जानू ना, उलझन ये जानू ना
सुलझाऊँ कैसे कुछ समझ ना पाऊँ
किस को मीत बनाऊँ, किसकी प्रीत भुलाऊँ

kaī bār yūṇ bhī dekhā hai
ye jo man kī sīmā rekhā hai, man toṛne lagtā hai
anjānī pyās ke pīchhe, anjānī ās ke pīchhe, man dauṛne lagtā hai

rāhoṅ meṅ, rāhoṅ meṅ, jīvan kī rāhoṅ meṅ
jo khile haiṅ phūl, phūl muskurā ke
kaun sā phūl churā ke, rakhūṇ man meṅ sazā ke

jānū nā, jānū nā, uljhan ye jānū nā
suljhāūṇ kaise kuchh samajh nā pāūṇ
kis ko mīt banāūṇ, kiskī prīt bhulāūṇ