कभी सोचा न था मैने ... दिल दीवाना दीवाने का
कभी सोचा न था मैने मुझे हो जाएगा प्यार
दिल दीवाना दीवाने का क्या ऐतबार क्या ऐतबार क्या ऐतबार
कभी सोचा न था …
आज मुझको लगा बात कुछ है ज़ुरूर
पास कितने हो तुम जब हुए मुझसे दूर
बेकरारी है क्यूँ ये खुमारी है क्यूँ
क्यूँ परेशान हैं क्यूँ ये अरमान हैं
तुम क्या गए हो जानम संग ले गए बहार
दिल दीवाना …
सच कहूँ प्यार क्या है मैं नहीं जानता था
प्यार की बातें सच हैं मैं नहीं मानता था
क्या मुझे हो रहा है क्या मेरा खो रहा है
मुझको एहसास है क्या मेरी प्यास है
तू नहीं पास मेरे है तेरा इंतज़ार
दिल दीवाना …
kabhī sochā na thā maine mujhe ho jāegā pyār
dil dīvānā dīvāne kā kyā aitbār kyā aitbār kyā aitbār
kabhī sochā na thā …
āj mujhko lagā bāt kuchh hai zurūr
pās kitne ho tum jab hue mujhse dūr
bekrārī hai kyūṇ ye khumārī hai kyūṇ
kyūṇ pareśhān haiṅ kyūṇ ye armān haiṅ
tum kyā gae ho jānam saṅg le gae bahār
dil dīvānā …
sach kahūṇ pyār kyā hai maiṅ nahīṅ jāntā thā
pyār kī bāteṅ sach haiṅ maiṅ nahīṅ māntā thā
kyā mujhe ho rahā hai kyā merā kho rahā hai
mujhko ehsās hai kyā merī pyās hai
tū nahīṅ pās mere hai terā iṅtazār
dil dīvānā …