Kabhee pahle dekhaa naheen ... yahaan main ajanbee hoon

कभी पहले देखा नहीं ... यहाँ मैं अजनबी हूँ
Year
Language

कभी पहले देखा नहीं ये समाँ
ये मैं भूले से आ गया हूँ कहाँ

यहाँ मैं अजनबी हूँ -2
मैं जो हूँ बस वही हूँ -2
यहाँ मैं अजनबी हूँ -2

कहाँ शाम-ओ-सहर थे कहाँ दिन-रात मेरे
बहुत रुसवा हुए हैं यहाँ जज़्बात मेरे
नई तहज़ीब है ये नया है ये ज़माना
मगर मैं आदमी हूँ वही सदियों पुराना
मैं क्‌या जानूँ ये बातें ज़रा इन्साफ़ करना
मेरी ग़ुस्ताख़ियों को ख़ुदारा माफ़ करना
यहाँ मैं अजनबी …

तेरी बाँहों में देखूँ सनम ग़ैरों की बाँहें
मैं लाऊँगा कहाँ से भला ऐसी निगाहें
ये कोई रक़्स होगा कोई दस्तूर होगा
मुझे दस्तूर ऐसा कहाँ मंज़ूर होगा
भला कैसे ये मेरा लहू हो जाए पानी
मैं कैसे भूल जाऊँ मैं हूँ हिन्दोस्तानी
यहाँ मैं अजनबी …

मुझे भी है शिकायत तुझे भी तो गिला है
यही शिक़वे हमारी मोहब्बत का सिला हैं
कभी मग़रिब से मशरिक़ मिला है जो मिलेगा
जहाँ का फूल है जो वहीं पे वो खिलेगा
तेरे ऊँचे महल में नहीं मेरा गुज़ारा
मुझे याद आ रहा है वो छोटा सा शिकारा
यहाँ मैं अजनबी …

kabhī pahle dekhā nahīṅ ye samāṇ
ye maiṅ bhūle se ā gayā hūṇ kahāṇ

yahāṇ maiṅ ajanbī hūṇ -2
maiṅ jo hūṇ bas vahī hūṇ -2
yahāṇ maiṅ ajanbī hūṇ -2

kahāṇ śhām-o-sahar the kahāṇ din-rāt mere
bahut rusvā hue haiṅ yahāṇ jazbāt mere
naī tahazīb hai ye nayā hai ye zamānā
magar maiṅ ādmī hūṇ vahī sadiyoṅ purānā
maiṅ k‌yā jānūṇ ye bāteṅ zarā insāf karnā
merī ġhustākhiyoṅ ko khudārā māf karnā
yahāṇ maiṅ ajanbī …

terī bāṇhoṅ meṅ dekhūṇ sanam ġhairoṅ kī bāṇheṅ
maiṅ lāūṇgā kahāṇ se bhalā aisī nigāheṅ
ye koī raqs hogā koī dastūr hogā
mujhe dastūr aisā kahāṇ maṅzūr hogā
bhalā kaise ye merā lahū ho jāe pānī
maiṅ kaise bhūl jāūṇ maiṅ hūṇ hindostānī
yahāṇ maiṅ ajanbī …

mujhe bhī hai śhikāyat tujhe bhī to gilā hai
yahī śhiqve hamārī mohabbat kā silā haiṅ
kabhī maġhrib se maśhriq milā hai jo milegā
jahāṇ kā phūl hai jo vahīṅ pe vo khilegā
tere ūṇche mahal meṅ nahīṅ merā guzārā
mujhe yād ā rahā hai vo chhoṭā sā śhikārā
yahāṇ maiṅ ajanbī …