Kabhee naa kabhee, kaheen naa kaheen, koee naa koee to aaegaa

कभी ना कभी, कहीं ना कहीं, कोई ना कोई तो आएगा
Work
Year
Language

कभी ना कभी, कहीं ना कहीं, कोई ना कोई तो आयेगा
अपना मुझे बनायेगा, दिल में मुझे बसायेगा

कब से तनहा घूम रहा हूँ, दुनिया के वीराने में
खाली जाम लिये बैठा हूँ, कब से इस मयखाने में
कोई तो होगा मेरा साकी, कोई तो प्यास बुझायेगा

किसी ने मेरा दिल ना देखा, ना दिल का पैगाम सुना
मुझ को बस आवारा समझा, जिस ने मेरा नाम सुना
अब तक तो सब ने ठुकराया, कोई तो पास बिठायेगा

कभी तो देगा सन्नाटे में, प्यार भरी आवाज़ कोई
कौन ये जाने कब मिल जाये रस्ते में हमराज कोई
मेरे दिल का दर्द समझकर दो आँसू तो बहायेगा

kabhī nā kabhī, kahīṅ nā kahīṅ, koī nā koī to āyegā
apnā mujhe banāyegā, dil meṅ mujhe basāyegā

kab se tanhā ghūm rahā hūṇ, duniyā ke vīrāne meṅ
khālī jām liye baiṭhā hūṇ, kab se is maykhāne meṅ
koī to hogā merā sākī, koī to pyās bujhāyegā

kisī ne merā dil nā dekhā, nā dil kā paigām sunā
mujh ko bas āvārā samjhā, jis ne merā nām sunā
ab tak to sab ne ṭhukrāyā, koī to pās biṭhāyegā

kabhī to degā sannāṭe meṅ, pyār bharī āvāz koī
kaun ye jāne kab mil jāye raste meṅ hamrāj koī
mere dil kā dard samajhkar do āṇsū to bahāyegā