Kabhee na kabhee kaheen na kaheen koee na koee to aayegaa

कभी न कभी कहीं न कहीं कोई न कोई तो आयेगा
Work
Year
Language

कभी न कभी कहीं न कहीं कोई न कोई तो आयेगा
अपना मुझे बनायेगा दिल में मुझे बसायेगा

कब से तन्हा ढूँढ राहा हूँ दुनियाँ के वीराने में
खाली जाम लिये बैठा हूँ कब से इस मैखाने में
कोई तो होगा मेरा साक़ी कोई तो प्यास बुझायेगा
कभी न कभी …

किसी ने मेरा दिल न देखा न दिल का पैग़ाम सुना
मुझको बस आवारा समझा जिस ने मेरा नाम सुना
अब तक तो सब ने ठुकराया कोई तो पास बिठायेगा
कभी न कभी …

कभी तो देगा सन्नाटे में प्यार भरी आवाज़ कोई
कौन ये जाने कब मिल जाये रस्ते में हमराज़ कोई
मेरे दिल का दर्द समझ कर दो आँसु तो बहायेगा
कभी न कभी …

kabhī na kabhī kahīṅ na kahīṅ koī na koī to āyegā
apnā mujhe banāyegā dil meṅ mujhe basāyegā

kab se tanhā ḍhūṇḍh rāhā hūṇ duniyāṇ ke vīrāne meṅ
khālī jām liye baiṭhā hūṇ kab se is maikhāne meṅ
koī to hogā merā sāqī koī to pyās bujhāyegā
kabhī na kabhī …

kisī ne merā dil na dekhā na dil kā paiġhām sunā
mujhko bas āvārā samjhā jis ne merā nām sunā
ab tak to sab ne ṭhukrāyā koī to pās biṭhāyegā
kabhī na kabhī …

kabhī to degā sannāṭe meṅ pyār bharī āvāz koī
kaun ye jāne kab mil jāye raste meṅ hamrāz koī
mere dil kā dard samajh kar do āṇsu to bahāyegā
kabhī na kabhī …