कभी खुशियों की सरगम लिखेंगे
कभी खुशियों की सरगम लिखेंगे
कभी आँखों का पानी लिखेंगे
मिल कर अब हम बड़े प्यार से ज़िंदगी की कहानी लिखेंगे
कभी खुशियों की …
सुर सजे न सजे गुनगुनाते रहें
दर्द में भी सदा मुस्कराते रहें
एक दूजे की बाहों में बैठे रहें
सात फेरों की रस्में निभाते रहें
उम्र के इस हसीं दौर को हम वक़्त की मेहरबाअनी लिखेंगे
कभी खुशियों की …
रात ढल जाएगी दिन गुज़र जाएंगे
अपनी पलकों पे सपने संवर जाएंगे
खुश्बू साँसों में आ के समा जाएगी
फूल चाहत के सारे बिखर जाएंगे
दिल के महके हुए गुलिस्तां में धड़कनों की कहानी लिखेंगे
कभी खुशियों की …
अब किसी मोड़ पर भी ना बिछड़ेंगे हम
बाँट लेंगे आएंगे जो कोई भी ग़म
आज से और अभी से यह वादा रहा
जान दे के निभाएंगे अपनी कसम
हमने सोचा है हम नाम तेरे अपनी ये ज़िंदगानी लिखेंगे
कभी खुशियों की …
kabhī khuśhiyoṅ kī sargam likheṅge
kabhī āṇkhoṅ kā pānī likheṅge
mil kar ab ham baṛe pyār se ziṅdgī kī kahānī likheṅge
kabhī khuśhiyoṅ kī …
sur saje na saje gungunāte raheṅ
dard meṅ bhī sadā muskrāte raheṅ
ek dūje kī bāhoṅ meṅ baiṭhe raheṅ
sāt pheroṅ kī rasmeṅ nibhāte raheṅ
umr ke is hasīṅ daur ko ham vaqt kī meharbāanī likheṅge
kabhī khuśhiyoṅ kī …
rāt ḍhal jāegī din guzar jāeṅge
apnī palkoṅ pe sapne saṅvar jāeṅge
khuśhbū sāṇsoṅ meṅ ā ke samā jāegī
phūl chāhat ke sāre bikhar jāeṅge
dil ke mahke hue gulistāṅ meṅ dhaṛaknoṅ kī kahānī likheṅge
kabhī khuśhiyoṅ kī …
ab kisī moṛ par bhī nā bichhaṛeṅge ham
bāṇṭ leṅge āeṅge jo koī bhī ġham
āj se aur abhī se yah vādā rahā
jān de ke nibhāeṅge apnī kasam
hamne sochā hai ham nām tere apnī ye ziṅdgānī likheṅge
kabhī khuśhiyoṅ kī …