Kabhee chaand kee tarah tapkee ... atthannee see zindgee

कभी चाँद की तरह टपकी ... अट्ठन्नी सी ज़िंदगी
Year
Language

कभी चाँद की तरह टपकी, कभी राह में पड़ी पाई
अट्ठन्नीसी ज़िंदगी, ये ज़िंदगी
कभी चींक की तरह खनकी, कभी जेब से निकल आई
अट्ठन्नीसी ज़िंदगी, ये ज़िंदगी

कभी चेहरे पे जड़ी देखी, कहीं मोड़ पे खड़ी देखी
शीशे के मरतबानों में, दुकान पे पड़ी देखी
चौकन्नी सी ज़िंदगी, ये ज़िंदगी …

तमगे लगाके मिलते है, मासूमियत सी खिलती है
कभी फूल हाथ में लेकर, शाख़ों पे बैठी हिलती है
अट्ठन्नीसी ज़िंदगी, ये ज़िंदगी …

kabhī chāṇd kī tarah ṭapkī, kabhī rāh meṅ paṛī pāī
aṭṭhannīsī ziṅdgī, ye ziṅdgī
kabhī chīṅk kī tarah khankī, kabhī jeb se nikal āī
aṭṭhannīsī ziṅdgī, ye ziṅdgī

kabhī chehre pe jaṛī dekhī, kahīṅ moṛ pe khaṛī dekhī
śhīśhe ke maratbānoṅ meṅ, dukān pe paṛī dekhī
chaukannī sī ziṅdgī, ye ziṅdgī …

tamge lagāke milte hai, māsūmiyat sī khiltī hai
kabhī phūl hāth meṅ lekar, śhākhoṅ pe baiṭhī hiltī hai
aṭṭhannīsī ziṅdgī, ye ziṅdgī …