Kaalee palak teree goree khulne lagee hai thoree-thoree

काली पलक तेरी गोरी खुलने लगी है थोड़ी-थोड़ी
Work
Year
Language

हे हे ऊँ हूँ
कि: काली पलक तेरी गोरी खुलने लगी है थोड़ी-थोड़ी
एक चोरनी एक चोर के घर करने चली है चोरी
ल: काली पलक पिया मोरी खुलने लगी है थोड़ी-थोड़ी
एक चोरनी एक चोर के घर करने चली है चोरी हो चोरी
काली पलक पिया …

कि: आएगी बाँध के पायल तू होंठ दबाए बदन को चुराए
नाज़ुक क़मर से लगाए अदा की कटारी ज़ालिमाँ
फेरेगी धीरे-धीरे तू मेरे गले पर ये बाँहों के ख़ंज़र
जाएगी दिल मेरा लेकर समझ के अनाड़ी बालमा
रोज़ रात को यूँ ही बाँधेगी लटों की डोरी हो डोरी
काली पलक तेरी …

ल: न तो मैं डोर से बाँधूं ना जाल बिछाऊँ न तीर चलाऊँ
नाज़ुक क़मर से लगाऊँ छुरी न कटारी साजना
ओ सजना मैं तो तेरा दिल लूँगी तुझसे छुपा के नज़र को बचा के
अरे यूँ ही ज़रा मुस्करा के कहूँगी अनाड़ी साजना हो साजना
रोज़ रात को तेरे घर होगी तेरी चोरी हो चोरी
काली पलक तेरी …

कि: अच्छी हुई मेरी चोरी एक दिल खोया एक दिल पाया
ऐसे कोई पास आया कि आ गया लुटने का मज़ा
हँस के लिपट गए दोनों बस गए दोनों हुआ जब वादा प्यार का
दो: रोज़ रात को मिलेंगे चंदा और चकोरी ओ चकोरी
कि: काली पलक तेरी …

he he ūṇ hūṇ
ki: kālī palak terī gorī khulne lagī hai thoṛī-thoṛī
ek chornī ek chor ke ghar karne chalī hai chorī
la: kālī palak piyā morī khulne lagī hai thoṛī-thoṛī
ek chornī ek chor ke ghar karne chalī hai chorī ho chorī
kālī palak piyā …

ki: āegī bāṇdh ke pāyal tū hoṅṭh dabāe badan ko churāe
nāzuk qamar se lagāe adā kī kaṭārī zālimāṇ
pheregī dhīre-dhīre tū mere gale par ye bāṇhoṅ ke khaṅzar
jāegī dil merā lekar samajh ke anāṛī bālmā
roz rāt ko yūṇ hī bāṇdhegī laṭoṅ kī ḍorī ho ḍorī
kālī palak terī …

la: na to maiṅ ḍor se bāṇdhūṅ nā jāl bichhāūṇ na tīr chalāūṇ
nāzuk qamar se lagāūṇ chhurī na kaṭārī sājnā
o sajnā maiṅ to terā dil lūṇgī tujhse chhupā ke nazar ko bachā ke
are yūṇ hī zarā muskrā ke kahūṇgī anāṛī sājnā ho sājnā
roz rāt ko tere ghar hogī terī chorī ho chorī
kālī palak terī …

ki: achchhī huī merī chorī ek dil khoyā ek dil pāyā
aise koī pās āyā ki ā gayā luṭne kā mazā
hṇs ke lipaṭ gae donoṅ bas gae donoṅ huā jab vādā pyār kā
do: roz rāt ko mileṅge chaṅdā aur chakorī o chakorī
ki: kālī palak terī …