Kaajal vaale nain milaa ke kar ... are re re loot liyaa re

काजल वाले नैन मिला के कर ... अरे रे रे लूट लिया रे
Work
Year
Language

काजल वाले नैन मिला के कर डाला बेचैन
किसी मतवाली ने
अरे रे रे लूट लिया रे झाँझर वाली ने

ज़ुल्फ़ें गालों को चूम रही थीं
इक घटा सी झूम रही थी
पनघट से हाय चली आ रही थी
इठलाते हुए तरसाते हुए
दिल से निकली हाय मुझे जब देखा नैन झुकाए
गुलों की डाली ने
अरे रे रे लूट लिया …

चाँद सी गोरी शोख़ हसीना
हाय मुश्किल कर गई मरना-जीना
एक झलक में हुआ ये हाल
कि मैं दीवाना बना मस्ताना बना परवाना बना
मैं खो बैठा होश मुझे यूँ कर डाला मदहोश
नशे की प्याली ने
अरे रे रे लूट लिया …

कल सपने में फिर आए थी
हम दोनों थे तन्हाई थी
घूँघट में हाय छुपी जा रही थी वो
शर्माते हुए घबराते हुए मुस्काते हुए
बीते सारी रात न समझी मेरे दिल की बात
भोली-भाली ने
अरे रे रे लूट लिया …

kājal vāle nain milā ke kar ḍālā bechain
kisī matvālī ne
are re re lūṭ liyā re jhāṇjhar vālī ne

zulfeṅ gāloṅ ko chūm rahī thīṅ
ik ghaṭā sī jhūm rahī thī
panghaṭ se hāy chalī ā rahī thī
iṭhlāte hue tarsāte hue
dil se niklī hāy mujhe jab dekhā nain jhukāe
guloṅ kī ḍālī ne
are re re lūṭ liyā …

chāṇd sī gorī śhokh hasīnā
hāy muśhkil kar gaī marnā-jīnā
ek jhalak meṅ huā ye hāl
ki maiṅ dīvānā banā mastānā banā parvānā banā
maiṅ kho baiṭhā hośh mujhe yūṇ kar ḍālā madhośh
naśhe kī pyālī ne
are re re lūṭ liyā …

kal sapne meṅ phir āe thī
ham donoṅ the tanhāī thī
ghūṇghaṭ meṅ hāy chhupī jā rahī thī vo
śharmāte hue ghabrāte hue muskāte hue
bīte sārī rāt na samjhī mere dil kī bāt
bholī-bhālī ne
are re re lūṭ liyā …