काहे मनवा नाचे हमरा
सखी री कोई इसे अब समझाये
काहे मनवा नाचे …
नयनन कजरा डालन बैठी
माथे पे सूरज पालन बैठी
बीच में आये देखो सपने काँ से
काहे मनवा नाचे …
नस नस में ये कौन उतरा है
दिल में किस का दिल धड़का है
नाबा नाम का निस दिन बासे
काहे मनवा नाचे …
kāhe manvā nāche hamrā
sakhī rī koī ise ab samjhāye
kāhe manvā nāche …
naynan kajrā ḍālan baiṭhī
māthe pe sūraj pālan baiṭhī
bīch meṅ āye dekho sapne kāṇ se
kāhe manvā nāche …
nas nas meṅ ye kaun utrā hai
dil meṅ kis kā dil dhaṛkā hai
nābā nām kā nis din bāse
kāhe manvā nāche …