are dekhī zamāne kī yārī
bichhaṛe sabhī, bichhaṛe sabhī bārī bārī
kyā le ke mileṅ ab duniyā se, āṇsū ke sivā kuchh pās nahīṅ
yā phūl hī phūl the dāman meṅ, yā kāṇṭoṅ kī bhī ās nahīṅ
matalab kī duniyā hai sārī
bichhaṛe sabhī, bichhaṛe sabhī bārī bārī
vaqt hai maharbāṅ, ārazū hai javāṅ
fikra kal kī kareṅ, itnī fursat kahāṇ
daur ye chaltā rahe raṅg uchhaltā rahe
rūp machaltā rahe, jām badaltā rahe
rāt bhar mahmāṇ haiṅ bahāreṅ yahāṇ
rāt gar ḍhal gayī phir ye khuśhiyāṇ kahāṇ
pal bhar kī khuśhiyāṇ haiṅ sārī
baṛhne lagī beqrārī baṛhne lagī beqrārī
are dekhī zamāne kī yārī
bichhaṛe sabhī, bichhaṛe sabhī bārī bārī
uṛ jā uṛ jā pyāse bhṇvre, ras nā milegā khāroṅ meṅ
kāgaz ke phūl jahāṇ khilte haiṅ, baiṭh nā un gulazāro meṅ
nādān tamannā retī meṅ, ummīd kī kaśhtī khetī hai
ik hāth se detī hai duniyā, sau hāthoṅ se letī hai
ye khel hai kab se jārī
bichhaṛe sabhī, bichhaṛe sabhī bārī bārī