Jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain

जुर्म-ए-उल्फ़त पे हमें लोग सज़ा देते हैं
Work
Year
Language

जुर्म-ए-उल्फ़त पे हमें लोग सज़ा देते हैं
कैसे नादान हैं, शोलों को हवा देते हैं

हमसे दीवाने कही तर्क-ए-वफ़ा करते हैं
जान जाये के रहे, बात निभा देते हैं

आप दौलत के तराजू में दिलों को तोले
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं

तख्त क्या चीज़ है और लाल-ओ-जवाहर क्या है
इश्कवाले तो खुदाई भी लूटा देते हैं

हमने दिल दे भी दिया, एहद-ए-वफ़ा ले भी लिया
आप अब शौक से दे लें जो सज़ा देते हैं

jurm-e-ulfat pe hameṅ log sazā dete haiṅ
kaise nādān haiṅ, śholoṅ ko havā dete haiṅ

hamse dīvāne kahī tark-e-vafā karte haiṅ
jān jāye ke rahe, bāt nibhā dete haiṅ

āp daulat ke tarājū meṅ diloṅ ko tole
ham mohabbat se mohabbat kā silā dete haiṅ

takht kyā chīz hai aur lāl-o-javāhar kyā hai
iśhkvāle to khudāī bhī lūṭā dete haiṅ

hamne dil de bhī diyā, ehad-e-vafā le bhī liyā
āp ab śhauk se de leṅ jo sazā dete haiṅ