Jogee jab se too aayaa mere dvaare

जोगी जब से तू आया मेरे द्वारे
Work
Year
Language

जोगी जब से तू आया मेरे द्वारे
मेरे रंग गये साँझ सकारे
तू तो अँखियों से जाने जी की बतियां
तोसे मिलना ही जुल्म भया रे

देखी सावली सूरत ये नैना जुडाये
तेरी छब देखी जब से रे नैना जुडाये
भये बिन कजरा ये कजरारे

जा के पनघट पे बैठूँ मैं राधा दीवानी
बिन जल लिये चली आऊँ राधा दीवानी
मोहे अजब ये रोग लगा रे

मीठी मीठी अगन ये सह न सकूंगी
मैं तो छुई-मुई अबला रे, सह न सकूंगी
मेरे और निकट मत आ रे

jogī jab se tū āyā mere dvāre
mere raṅg gaye sāṇjh sakāre
tū to aṇkhiyoṅ se jāne jī kī batiyāṅ
tose milnā hī julm bhayā re

dekhī sāvlī sūrat ye nainā juḍāye
terī chhab dekhī jab se re nainā juḍāye
bhaye bin kajrā ye kajrāre

jā ke panghaṭ pe baiṭhūṇ maiṅ rādhā dīvānī
bin jal liye chalī āūṇ rādhā dīvānī
mohe ajab ye rog lagā re

mīṭhī mīṭhī agan ye sah na sakūṅgī
maiṅ to chhuī-muī ablā re, sah na sakūṅgī
mere aur nikaṭ mat ā re