Jo vaadaa kiyaa vo nibhaanaa padegaa

जो वादा किया वो निभाना पडेगा
Work
Year
Language

जो वादा किया वो निभाना पडेगा
रोके ज़माना चाहे, रोके खुदाई, तुम को आना पडेगा

तरसती निगाहों ने आवाज दी है
मोहब्बत की राहों ने आवाज दी है
जान-ए-हया, जान-ए-अदा छोडो तरसाना
तुम को आना पडेगा

ये माना हमे जा से जाना पडेगा
पर ये समझ लो तुम ने जब भी पुकारा, हम को आना पडेगा

हम अपनी वफ़ा पे ना इल्जाम लेंगे
तुम्हे दिल दिया है, तुम्हे जान भी देंगे
जब इश्क का सौदा किया, फिर क्या घबराना, हम को आना पडेगा

चमकते हैं जब तक ये चाँद और तारे
ना टूटेंगे अब ये दो पयमान हमारे
एक दूसरा जब दे सदा, हो के दीवाना हम को आना पडेगा

jo vādā kiyā vo nibhānā paḍegā
roke zamānā chāhe, roke khudāī, tum ko ānā paḍegā

tarastī nigāhoṅ ne āvāj dī hai
mohabbat kī rāhoṅ ne āvāj dī hai
jān-e-hayā, jān-e-adā chhoḍo tarsānā
tum ko ānā paḍegā

ye mānā hame jā se jānā paḍegā
par ye samajh lo tum ne jab bhī pukārā, ham ko ānā paḍegā

ham apnī vafā pe nā iljām leṅge
tumhe dil diyā hai, tumhe jān bhī deṅge
jab iśhk kā saudā kiyā, phir kyā ghabrānā, ham ko ānā paḍegā

chamakte haiṅ jab tak ye chāṇd aur tāre
nā ṭūṭeṅge ab ye do paymān hamāre
ek dūsrā jab de sadā, ho ke dīvānā ham ko ānā paḍegā