जो उन की तमन्ना है, बरबाद हो जा
जो उन की तमन्ना है, बरबाद हो जा
तू ऐ दिल मुहब्बत की किस्मत बना दे
तड़प और तड़प कर अभी जान दे दे
यूं मरते हैं मर जाने वाले, दिखा दे
जो उन की तमन्ना है, बरबाद हो जा …
ना उन का तबस्सुम, तेरे वास्ते है
ना तेरे लिये उन की ज़ुल्फ़ों के साये
तू बेआस फिर क्यों जिये जा रहा है
जवानी में ये ज़िन्दगानी लुटा दे
जो उन की तमन्ना है, बरबाद हो जा …
सितम या करम हुस्न वालों की मर्ज़ी
यही सोच कर कोई शिकवा ना करना
सितमगर सलामत रहे हुस्न तेरा
यही उस को मिटने से पहले दुआ दे
जो उन की तमन्ना है, बरबाद हो जा …
jo un kī tamannā hai, barbād ho jā
tū ai dil muhabbat kī kismat banā de
taṛap aur taṛap kar abhī jān de de
yūṅ marte haiṅ mar jāne vāle, dikhā de
jo un kī tamannā hai, barbād ho jā …
nā un kā tabassum, tere vāste hai
nā tere liye un kī zulfoṅ ke sāye
tū beās phir kyoṅ jiye jā rahā hai
javānī meṅ ye zindgānī luṭā de
jo un kī tamannā hai, barbād ho jā …
sitam yā karam husn vāloṅ kī marzī
yahī soch kar koī śhikvā nā karnā
sitamgar salāmat rahe husn terā
yahī us ko miṭne se pahle duā de
jo un kī tamannā hai, barbād ho jā …