Jo pyaar toone mujhko diyaa thaa

जो प्यार तूने मुझको दिया था
Year
Language

जो प्यार तूने मुझको दिया था
वो प्यार तेरा मैं लौटा रहा हूँ
अब कोई तुझको शिकवा ना होगा
तेरी ज़िंदगी से चला जा रहा हूँ

हमको खबर भी होने नही दी
किस मोड़ पर ला के दिल तूने तोड़ा
अपना बनाना रहा दूर तूने
औरों के हो जाये ऐसा ना छोड़ा
तेरी जफ़ा का चर्चा ही कैसा
अपनी वफ़ा पे मैं शर्मा रहा हूँ

पीछे ना अब कोई आयेगा तेरे
अब कोई तुझको ना आवाज़ देगा
मुड़कर किसे देखता है मेरे दिल
तेरा कौन है जो तुझे रोक लेगा
तुझको मुबारक ज़माने की खुशियाँ
मिटना है मुझको मिटा जा रहा हूँ

jo pyār tūne mujhko diyā thā
vo pyār terā maiṅ lauṭā rahā hūṇ
ab koī tujhko śhikvā nā hogā
terī ziṅdgī se chalā jā rahā hūṇ

hamko khabar bhī hone nahī dī
kis moṛ par lā ke dil tūne toṛā
apnā banānā rahā dūr tūne
auroṅ ke ho jāye aisā nā chhoṛā
terī jafā kā charchā hī kaisā
apnī vafā pe maiṅ śharmā rahā hūṇ

pīchhe nā ab koī āyegā tere
ab koī tujhko nā āvāz degā
muṛkar kise dekhtā hai mere dil
terā kaun hai jo tujhe rok legā
tujhko mubārak zamāne kī khuśhiyāṇ
miṭnā hai mujhko miṭā jā rahā hūṇ