Jo pyaar toone mujhko diyaa thaa

जो प्यार तूने मुझको दिया था
Year
Language

जो प्यार तूने मुझको दिया था
वो प्यार तेरा मैं लौटा रहा हूँ
अब कोई तुझको शिकवा न होगा
तेरी ज़िंदगी से चला जा रहा हूँ
जो प्यार तूने …

हमको खबर भी होने नहीं दी
किस मोड़ पर ला के दिल तूने तोड़ा
अपना बनाना रहा दूर तूने
औरों के हो जाएं ऐसा ना छोड़ा
तेरी जफ़ा का चर्चा ही कैसा
अपनी वफ़ा पे मैं शरमा रहा हूँ
जो प्यार तूने …

पीछे न अब कोई आयेगा तेरे
अब कोई तुझको न आवाज़ देगा
मुड़ कर किसे देखता है मेरे दिल
तेरा कौन है जो तुझे रोक लेगा
तुझको मुबारक ज़माने की खुशियां
मिटना है मुझको मिटा जा रहा हूँ
जो प्यार तूने …

jo pyār tūne mujhko diyā thā
vo pyār terā maiṅ lauṭā rahā hūṇ
ab koī tujhko śhikvā na hogā
terī ziṅdgī se chalā jā rahā hūṇ
jo pyār tūne …

hamko khabar bhī hone nahīṅ dī
kis moṛ par lā ke dil tūne toṛā
apnā banānā rahā dūr tūne
auroṅ ke ho jāeṅ aisā nā chhoṛā
terī jafā kā charchā hī kaisā
apnī vafā pe maiṅ śharmā rahā hūṇ
jo pyār tūne …

pīchhe na ab koī āyegā tere
ab koī tujhko na āvāz degā
muṛ kar kise dekhtā hai mere dil
terā kaun hai jo tujhe rok legā
tujhko mubārak zamāne kī khuśhiyāṅ
miṭnā hai mujhko miṭā jā rahā hūṇ
jo pyār tūne …