Jo ham pe gujartee hai tanhaa kise samjhaaye

जो हम पे गुजरती है तनहा किसे समझाये
Year
Language

जो हम पे गुजरती है तनहा किसे समझाये
तुम भी तो नहीं मिलते जाये तो किधर जाये

समझा है, ना समझेगा इस गम को यहाँ कोई
बेदर्दो की बस्ती है हमदर्द कहाँ कोई
जो सिर्फ़ तुम्हारा है वो दिल किसे दिखलाये

जब जान-ए-वफ़ा तेरी फुरक़त ना सतायेगी
वो सुबह कब आयेगी, वो शाम कब आयेगी
कब तक दिल-ए-नादान को हम वादों से बहलाये

आजा के मोहब्बत की मिटने को है तस्वीरे
पहरे हैं निगाहों पे और पाँव में जंजीरे
बस में नहीं वर्ना हम उड़ के चले आये

jo ham pe gujartī hai tanhā kise samjhāye
tum bhī to nahīṅ milte jāye to kidhar jāye

samjhā hai, nā samjhegā is gam ko yahāṇ koī
bedardo kī bastī hai hamdard kahāṇ koī
jo sirf tumhārā hai vo dil kise dikhlāye

jab jān-e-vafā terī phuraqat nā satāyegī
vo subah kab āyegī, vo śhām kab āyegī
kab tak dil-e-nādān ko ham vādoṅ se bahlāye

ājā ke mohabbat kī miṭne ko hai tasvīre
pahre haiṅ nigāhoṅ pe aur pāṇv meṅ jaṅjīre
bas meṅ nahīṅ varnā ham uṛ ke chale āye