Jo ham ne daastaan apnee sunaayee, aap kyon roye

जो हम ने दास्ताँ अपनी सुनायी, आप क्यों रोये
Year
Language

जो हम ने दास्ताँ अपनी सुनायी, आप क्यों रोये ?
तबाही तो हमारे दिल पे आयी, आप क्यों रोये ?

हमारा दर्द-ओ-गम हैं ये, इसे क्यों आप सहते हैं ?
ये क्यों आँसू हमारे, आप की आँखों से बहते हैं ?
ग़मों की आग हम ने खुद लगाई, आप क्यों रोये ?

बहोत रोये मगर अब आप की खातिर ना रोयेंगे
ना अपना चैन खोकर, आप का हम चैन खोएंगे
क़यामत आप के अश्कोने ढाई, आप क्यों रोये ?

न ये आँसू रुके तो, देखिये फिर हम भी रो देंगे
हम अपने आँसुओं में चाँद तारो को डुबो देंगे
फना हो जायेगी सारी खुदाई, आप क्यों रोये?

jo ham ne dāstāṇ apnī sunāyī, āp kyoṅ roye ?
tabāhī to hamāre dil pe āyī, āp kyoṅ roye ?

hamārā dard-o-gam haiṅ ye, ise kyoṅ āp sahte haiṅ ?
ye kyoṅ āṇsū hamāre, āp kī āṇkhoṅ se bahte haiṅ ?
ġhamoṅ kī āg ham ne khud lagāī, āp kyoṅ roye ?

bahot roye magar ab āp kī khātir nā royeṅge
nā apnā chain khokar, āp kā ham chain khoeṅge
qayāmat āp ke aśhkone ḍhāī, āp kyoṅ roye ?

na ye āṇsū ruke to, dekhiye phir ham bhī ro deṅge
ham apne āṇsuoṅ meṅ chāṇd tāro ko ḍubo deṅge
phanā ho jāyegī sārī khudāī, āp kyoṅ roye?