जियो तो ऐसे जियो जैसे सब तुम्हारा है
जियो तो ऐसे जियो जैसे सब तुम्हारा है
मरो तो ऐसे कि जैसे तुम्हारा कुछ भी नहीं
ये एक राज़ है कि दुनिया न जिसको जान सकी
यही वो राज़ जो ज़िन्दगी से हासिल है
तुम्हीं कहो ये राज़ तुम्हें कैसे समझाऊँ
के ज़िन्दगी की घुटन ज़िन्दगी की क़ातिल है
हर एक निगाह को ये क़ुदरत का इशारा है
जियो तो ऐसे जियो …
जहाँ में आ के जहाँ से खिंचे-खिंचे न रहो
वो ज़िन्दगी ही नहीं जिसमें आस बुझ जाए
कोई भी प्यास दबाए से दब नहीं सकती
इसी से चैन मिलेगा कि प्यास बुझ जाए
ये कहके मुड़ता हुआ ज़िन्दगी का धारा है
जियो तो ऐसे जियो …
ये आसमाँ ये ज़मीं ये फ़िज़ा ये नज़ारे
तरस रहे हैं तुम्हारी इक नज़र के लिए
नज़र चुरा के हर एक शै को यूँ न ठुकराओ
कोई शरीक़-ए-सफ़र ढूँढ लो सफ़र के लिए
बहुत क़रीब से मैने तुम्हें पुकारा है
जियो तो ऐसे जियो …
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhārā hai
maro to aise ki jaise tumhārā kuchh bhī nahīṅ
ye ek rāz hai ki duniyā na jisko jān sakī
yahī vo rāz jo zindgī se hāsil hai
tumhīṅ kaho ye rāz tumheṅ kaise samjhāūṇ
ke zindgī kī ghuṭan zindgī kī qātil hai
har ek nigāh ko ye qudarat kā iśhārā hai
jiyo to aise jiyo …
jahāṇ meṅ ā ke jahāṇ se khiṅche-khiṅche na raho
vo zindgī hī nahīṅ jismeṅ ās bujh jāe
koī bhī pyās dabāe se dab nahīṅ saktī
isī se chain milegā ki pyās bujh jāe
ye kahke muṛtā huā zindgī kā dhārā hai
jiyo to aise jiyo …
ye āsmāṇ ye zamīṅ ye fizā ye nazāre
taras rahe haiṅ tumhārī ik nazar ke lie
nazar churā ke har ek śhai ko yūṇ na ṭhukrāo
koī śharīq-e-safar ḍhūṇḍh lo safar ke lie
bahut qarīb se maine tumheṅ pukārā hai
jiyo to aise jiyo …