Jiye to jiye kaise bin aap ke

जिये तो जिये कैसे बिन आप के
Work
Year
Language

जिये तो जिये कैसे, बिन आपके
लगता नहीं दिल कहीं, बिन आपके

कैसे कहूँ बिना तेरे जिंदगी ये क्या होगी
जैसे कोई सज़ा, कोई बद्दुआ होगी
मैने किया है ये फ़ैसला, जीना नहीं है तेरे बिना

मुझे कोई दे दे जहर, हस के मैं पी लूँगी
हर दर्द सह लूँगी, हर हाल में जी लूँगी
दर्द-ए-जुदाई सह ना सकूँगी, तेरे बिना मैं रह ना सकूँगी

देख के वो मुझे तेरा पलकें झुका देना
याद बहोत आये तेरा मुस्कुरा देना
कैसे भूलाऊँ वो सारी बातें, वो मीठी रातें, वो मुलाक़ातें

jiye to jiye kaise, bin āpke
lagtā nahīṅ dil kahīṅ, bin āpke

kaise kahūṇ binā tere jiṅdgī ye kyā hogī
jaise koī sazā, koī badduā hogī
maine kiyā hai ye faislā, jīnā nahīṅ hai tere binā

mujhe koī de de jahar, has ke maiṅ pī lūṇgī
har dard sah lūṇgī, har hāl meṅ jī lūṇgī
dard-e-judāī sah nā sakūṇgī, tere binā maiṅ rah nā sakūṇgī

dekh ke vo mujhe terā palkeṅ jhukā denā
yād bahot āye terā muskurā denā
kaise bhūlāūṇ vo sārī bāteṅ, vo mīṭhī rāteṅ, vo mulāqāteṅ