Jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do

जिया ओ, जिया ओ जिया कुछ बोल दो
Year
Language

जिया ओ, जिया ओ जिया कुछ बोल दो
अरे ओ दिल का पर्दा खोल दो
जब प्यार किसीसे होता है
तो दर्द सा दिल मे होता है
तुम एक हसीन हो लाखों में
भला पाके तुम्हे कोई खोता है
जिया ओ, जिया ओ जिया कुछ बोल दो

नज़रो से जितने तीर चले
चलने दो जिगर पर झेलेंगे
इन प्यार की उजली राहों पर
हम जान की बाजी खेलेंगे
इन दो नैनो के सागर में
कोई दिल की नैया डुबोता है
जिया ओ, जिया ओ जिया कुछ बोल दो

तुम भी तो इस आग में जलते हो
चेहरे से बयाँ हो जाता है
हर बात पे आहें भरते हो
हर बात पे दिल थर्राता है
जब दिल पे छुरियाँ चलती है
तब चैन से कोई सोता है
जिया ओ, जिया ओ जिया कुछ बोल दो

jiyā o, jiyā o jiyā kuchh bol do
are o dil kā pardā khol do
jab pyār kisīse hotā hai
to dard sā dil me hotā hai
tum ek hasīn ho lākhoṅ meṅ
bhalā pāke tumhe koī khotā hai
jiyā o, jiyā o jiyā kuchh bol do

nazro se jitne tīr chale
chalne do jigar par jheleṅge
in pyār kī ujlī rāhoṅ par
ham jān kī bājī kheleṅge
in do naino ke sāgar meṅ
koī dil kī naiyā ḍubotā hai
jiyā o, jiyā o jiyā kuchh bol do

tum bhī to is āg meṅ jalte ho
chehre se bayāṇ ho jātā hai
har bāt pe āheṅ bharte ho
har bāt pe dil tharrātā hai
jab dil pe chhuriyāṇ chaltī hai
tab chain se koī sotā hai
jiyā o, jiyā o jiyā kuchh bol do