Jise dekh meraa dil dharkaa meree jaan taraptee hai

जिसे देख मेरा दिल धड़का मेरी जान तड़पती है
Year
Language

जिसे देख मेरा दिल धड़का मेरी जान तड़पती है
कोई जन्नत की वो हूर नहीं मेरे college की एक लड़की है

ये मोरनी के जैसी चले इसकी अदाएं क़ातिल बड़ी
निकले जिधर से ख़ुश्बू उड़े कितनी हसीं है ये गुलछड़ी
निकले जिधर कुछ आज है होने वाला मेरी आँख फड़कती है
कोई जन्नत की वो हूर …

मुझको ये मेरी लैला लगे इसपे लुटा दूँ मैं ज़िन्दगी
जी चाहे इसके लब चूम लूँ हँस के चुरा लूँ इसकी हँसी
इसे छू के मेरी साँसों में कोई आग दहकती है
कोई जन्नत की वो हूर …

jise dekh merā dil dhaṛkā merī jān taṛaptī hai
koī jannat kī vo hūr nahīṅ mere college kī ek laṛkī hai

ye mornī ke jaisī chale iskī adāeṅ qātil baṛī
nikle jidhar se khuśhbū uṛe kitnī hasīṅ hai ye gulchhaṛī
nikle jidhar kuchh āj hai hone vālā merī āṇkh phaṛaktī hai
koī jannat kī vo hūr …

mujhko ye merī lailā lage ispe luṭā dūṇ maiṅ zindgī
jī chāhe iske lab chūm lūṇ hṇs ke churā lūṇ iskī hṇsī
ise chhū ke merī sāṇsoṅ meṅ koī āg dahaktī hai
koī jannat kī vo hūr …