जिस दिल में बसा था प्याअर तेरा
जिस दिल में बसा था प्यार तेरा
उस दिल को कभी का तोड़ दिया, हाय, तोड़ दिया
बदनाम न होने देंगे तुझे
तेरा नाम ही लेना छोड़ दिया, हाय, छोड़ दिया
जिस दिल में बसा था प्यार तेरा
जब याद कभी तुम आओगे
समझेंगे तुम्हें चाहा ही नहीं
राहों में अगर मिल जाओगे
सोचेंगे तुम्हें देखा ही नहीं
जो दर पे तुम्हारे जाती थीं
उन राहों को हमने छोड़ दिया हाय, छोड़ दिया
जिस दिल में बसा था प्यार तेरा
हम कौन किसी के होते हैं
कोई हमको याद करेगा क्यूं
अपने दो आंसू भी हम पर
कोई बरबाद करेगा क्यूं - 2
उस मांझी को भी गिला हमसे
मंझधार में जिसने छोड़ दिया, हाय, छोड़ दिया
जिस दिल में बसा था प्यार तेरा …
jis dil meṅ basā thā pyār terā
us dil ko kabhī kā toṛ diyā, hāy, toṛ diyā
badnām na hone deṅge tujhe
terā nām hī lenā chhoṛ diyā, hāy, chhoṛ diyā
jis dil meṅ basā thā pyār terā
jab yād kabhī tum āoge
samjheṅge tumheṅ chāhā hī nahīṅ
rāhoṅ meṅ agar mil jāoge
socheṅge tumheṅ dekhā hī nahīṅ
jo dar pe tumhāre jātī thīṅ
un rāhoṅ ko hamne chhoṛ diyā hāy, chhoṛ diyā
jis dil meṅ basā thā pyār terā
ham kaun kisī ke hote haiṅ
koī hamko yād karegā kyūṅ
apne do āṅsū bhī ham par
koī barbād karegā kyūṅ - 2
us māṅjhī ko bhī gilā hamse
maṅjhdhār meṅ jisne chhoṛ diyā, hāy, chhoṛ diyā
jis dil meṅ basā thā pyār terā …