bhābhī kaṅgan khankātī hai aur māṇ loriyāṇ gātī hai
maddham maddham sī pavan chale koyliyā gīt sunātī hai
bachchā vahāṇ āj bhī chāṇd ko chaṅdāmāmā kahtā hai
jis deśh meṅ gaṅgā rahtā hai
gāṇv kā panghaṭ panghaṭ kā pānī bhare gagriyā koī dīvānī
ṭhaṅḍī ṭhaṅḍī purvāī meṅ mīṭhī mīṭhī khuśhbū
mat pūchho us khuśhbū meṅ hotā hai kaisā jādū
jādū aisā hotā hai ke har koī jhūmtā rahtā hai
jis deśh meṅ gaṅgā …
dil basā kar gāṇv kī mamtā śhahar meṅ āyā maiṅ jogī ramtā
sukh duḥakh sāre mān kar aur un ko apnā kar
tarah tarah ke nātoṅ se ghar ban jātā hai suṅdar
pal pal sachche riśhtoṅ kā vahāṇ pyār barastā hai
jis deśh meṅ gaṅgā …