Jihaal-e-mastee, makun-ba-ranjish

जिहाल-ए-मस्ती, मकुन-ब-रन्जिश्
Work
Year
Language

जिहाल-ए-मस्ती मकुन-ब-रन्जिश,
बहाल-ए-हिज्र बेचारा दिल है

सुनाई देती है जिसकी धड़कन
तुम्हारा दिल या हमारा दिल है

वो आके पहलू में ऐसे बैठे
के शाम रंगीन हो गई है (3)
ज़रा ज़रा सी खिली तबीयत
ज़रा सी ग़मगीन हो गई है

(कभी कभी शाम ऐसे ढलती है
के जैसे घूँघट उतर रहा है ) - 2
तुम्हारे सीने से उठ था धुआँ
हमारे दिल से गुज़ार रहा है

ये शर्म है या हया है क्‌या है
नजर उठाते ही झुक गयी है
तुम्हारी पलकों से गिरके शबनम
हमारी आँखों में रुक गयी है

jihāl-e-mastī makun-ba-ranjiśh,
bahāl-e-hijr bechārā dil hai

sunāī detī hai jiskī dhaṛkan
tumhārā dil yā hamārā dil hai

vo āke pahlū meṅ aise baiṭhe
ke śhām raṅgīn ho gaī hai (3)
zarā zarā sī khilī tabīyat
zarā sī ġhamgīn ho gaī hai

(kabhī kabhī śhām aise ḍhaltī hai
ke jaise ghūṇghaṭ utar rahā hai ) - 2
tumhāre sīne se uṭh thā dhuāṇ
hamāre dil se guzār rahā hai

ye śharm hai yā hayā hai k‌yā hai
najar uṭhāte hī jhuk gayī hai
tumhārī palkoṅ se girke śhabnam
hamārī āṇkhoṅ meṅ ruk gayī hai