ṭhaṇḍī havā ye chāṇdnī suhānī
ai mere dil sunā koī kahānī
lambī sī ek ḍagar hai ziṅdgānī
ai mere dil sunā koī kahānī
sāre hasīṅ nazāre, sapnoṅ meṅ kho gaye
sar rakh ke āsmāṇ pe, parvat bhī so gaye
mere dil, tū sunā, koī aisī dāstāṅ
jisko, sunkar, mile chain mujhe merī jāṇ
maṅzil hai anjānī …
aise maiṅ chal rahā hūṇ peṛoṅ kī chhāṇv meṅ
jaise koī sitārā bādal ke gāṇv meṅ
mere dil, tū sunā, koī aisī dāstāṅ
jisko sunkar, mile chain mujhe merī jāṇ
maṅzil hai anjānī …
thoṛī sī rāt bītī, thoṛī sī rāh gaī
khāmośh rut nā jāne, kyā bāt kah gaī
mere dil, tū sunā, koī aisī dāstāṅ
jisko sunkar, mile chain mujhe merī jāṇ
maṅzil hai anjānī
ṭhaṇḍī havā ye chāṇdnī suhānī
ai mere dil sunā koī kahānī
lambī sī ek ḍagar hai ziṅdgānī
ai mere dil sunā koī kahānī