Title (Indic)मतवाले हम मतवाले तुम चलते रहें WorkJhumroo Year1961 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Kishore Kumar Writer Majrooh Sultanpuri LyricsHindiमतवाले हम मतवाले तुम चलते रहें यूँ ही क़दम दिलवाले हम दिलवाले तुम बढ़ते रहें यूँ ही क़दम मतवाले हम … औरों के काम आ जा हिल-मिल के झेलता जा मुश्किल जो राहों में है मतवाला जाम है मस्ती से काम है मस्ती निग़ाहों में है दिल जब डोले मचल-मचल के फिर क्या चलना संभल-संभल के दिल है जवाँ काहे का ग़म मतवाले हम … सारे रंगीं नज़ारे अपने दम से हैं प्यारे हमको नज़ारों से क्या हर दिल के प्यार हम सबकी बहार हम हम को बहारों से क्या सबसे नैना मिला-मिला के दिल की कलियाँ खिला-खिला के चलते चलें लहरा के हम मतवाले हम … कैसा जीना अकेले ग़ैरों का दर्द ले लें अपना तो काम यही अपना तो sin यही अपना तो दिन यही अपनी तो शाम यही गिरते जन को उठा-उठा के हर रोते को हँसा-हँसा के गाए जा तू जब-तक है दम मतवाले हम … Englishmatvāle ham matvāle tum chalte raheṅ yūṇ hī qadam dilvāle ham dilvāle tum baṛhte raheṅ yūṇ hī qadam matvāle ham … auroṅ ke kām ā jā hil-mil ke jheltā jā muśhkil jo rāhoṅ meṅ hai matvālā jām hai mastī se kām hai mastī niġhāhoṅ meṅ hai dil jab ḍole machal-machal ke phir kyā chalnā saṅbhal-saṅbhal ke dil hai javāṇ kāhe kā ġham matvāle ham … sāre raṅgīṅ nazāre apne dam se haiṅ pyāre hamko nazāroṅ se kyā har dil ke pyār ham sabkī bahār ham ham ko bahāroṅ se kyā sabse nainā milā-milā ke dil kī kaliyāṇ khilā-khilā ke chalte chaleṅ lahrā ke ham matvāle ham … kaisā jīnā akele ġhairoṅ kā dard le leṅ apnā to kām yahī apnā to sin yahī apnā to din yahī apnī to śhām yahī girte jan ko uṭhā-uṭhā ke har rote ko hṇsā-hṇsā ke gāe jā tū jab-tak hai dam matvāle ham …