Jhumke bumke latke jhatke ... main kolhaapur se aaee hoon

झुमके बुमके लटके झटके ... मैं कोल्हापुर से आई हूँ
Work
Year
Language

झुमके बुमके लटके झटके तिरछी मिरछी आई हूँ
मैं कोल्हापुर से आई हूँ

पतली कमर है तिरछी नज़र है चढ़ती उम्र की जवानी
गोरे बदन में मेंहदी महके मन में खुश्बू है रात की रानी
जब बोली तो सब की तबियत मचलती है
दिल वालों का दिल डोला है जब भी दुपट्टा गिराई हूँ
मैं कोल्हापुर से …

मीठी कटारी तीखी सुपारी नखरे मेरे निराले हैं
सारे के सारे आशिक़ क्‌वारे मुझ पे निगाहें डाले हैं
मैं डरती हूँ कोई दीवाना न बन जाए
चुप रहती हूँ कोई फ़साना न बन जाए
कोई माने या न माने कोई जाने या न जाने
चुनरी में क्‌या क्‌या छिपाई हूँ
मैं कोल्हापुर से …

jhumke bumke laṭke jhaṭke tirchhī mirchhī āī hūṇ
maiṅ kolhāpur se āī hūṇ

patlī kamar hai tirchhī nazar hai chaṛhtī umr kī javānī
gore badan meṅ meṅhdī mahke man meṅ khuśhbū hai rāt kī rānī
jab bolī to sab kī tabiyat machaltī hai
dil vāloṅ kā dil ḍolā hai jab bhī dupaṭṭā girāī hūṇ
maiṅ kolhāpur se …

mīṭhī kaṭārī tīkhī supārī nakhre mere nirāle haiṅ
sāre ke sāre āśhiq k‌vāre mujh pe nigāheṅ ḍāle haiṅ
maiṅ ḍartī hūṇ koī dīvānā na ban jāe
chup rahtī hūṇ koī fasānā na ban jāe
koī māne yā na māne koī jāne yā na jāne
chunrī meṅ k‌yā k‌yā chhipāī hūṇ
maiṅ kolhāpur se …