Jhukaa-jhukaa ke nigaahen milaae jaate hain

झुका-झुका के निगाहें मिलाए जाते हैं
Year
Language

मु: झुका-झुका के निगाहें मिलाए जाते हैं
बचा-बचा के निशाने लगाए जाते हैं
आ: हुज़ूर जब से मेरे दिल पे छाए जाते हैं
ये हाल है कि क़दम डगमगाए जाते हैं

मु: हमें तो आपकी इस अदा ने लूट लिया
नज़र उठाते नहीं मुस्कुराए जाते हैं
आ: जिन्हें हो इश्क़ ज़ुबाँ से वो कुछ नहीं कहते
ये आप हैं कि मोहब्बत जताए जाते हैं

मु: हमीं से सीखी अदाएँ हमीं पे वार किया
हमारे तीर हमीं पर चलाए जाते हैं
आ: हुज़ूर को मैं दीवाना कहूँ तो फिर क्‌या हो
कि बिन बुलाए मेरे घर में आए जाते हैं

mu: jhukā-jhukā ke nigāheṅ milāe jāte haiṅ
bachā-bachā ke niśhāne lagāe jāte haiṅ
ā: huzūr jab se mere dil pe chhāe jāte haiṅ
ye hāl hai ki qadam ḍagamgāe jāte haiṅ

mu: hameṅ to āpkī is adā ne lūṭ liyā
nazar uṭhāte nahīṅ muskurāe jāte haiṅ
ā: jinheṅ ho iśhq zubāṇ se vo kuchh nahīṅ kahte
ye āp haiṅ ki mohabbat jatāe jāte haiṅ

mu: hamīṅ se sīkhī adāeṇ hamīṅ pe vār kiyā
hamāre tīr hamīṅ par chalāe jāte haiṅ
ā: huzūr ko maiṅ dīvānā kahūṇ to phir k‌yā ho
ki bin bulāe mere ghar meṅ āe jāte haiṅ