Jhoomtee ghataa men chaand dekho chhup gayaa

झूमती घटा में चाँद देखो छुप गया
Year
Language

झूमती घटा में
ओ झूमती घटा में चाँद देखो छुप गया
हाय मारे शरम के
पा ही ना सका हुस्न तेरे जैसा कभी भी वो
कसम से कसम से
हो झूमती घटा में …

आसमां पे थोड़ी देर को ही
अपने रंग दिखाती वो धनक है
उस को शायद ऐसा ही लगे है
सारे रंगों पे हाँ रंगों पे
सारे रंगों पे उस का हक़ है
तुझ पे जब पड़े नज़र वो छुप ही जाती है
हाय मारे शरम के
पा ही ना सकी रंग तेरे जैसा कभी भी वो
कसम से कसम से
झूमती घटा में …

शोर यूँ मचाती हैं ये लहरें
जोश यूँ दिखाता है समंदर
उस को यूँ लगे है गहराई
जैसे छुपी है हाँ छुपी है
जैसे छुपी है बस उस के अंदर
जब तेरी नज़र पड़े वो थम ही जाता है
हाय मारे शरम के
पा ही ना सका गहराई तेरी आँखों सी वो
कसम से कसम से
हो झूमती घटा में …

jhūmtī ghaṭā meṅ
o jhūmtī ghaṭā meṅ chāṇd dekho chhup gayā
hāy māre śharam ke
pā hī nā sakā husn tere jaisā kabhī bhī vo
kasam se kasam se
ho jhūmtī ghaṭā meṅ …

āsmāṅ pe thoṛī der ko hī
apne raṅg dikhātī vo dhanak hai
us ko śhāyad aisā hī lage hai
sāre raṅgoṅ pe hāṇ raṅgoṅ pe
sāre raṅgoṅ pe us kā haq hai
tujh pe jab paṛe nazar vo chhup hī jātī hai
hāy māre śharam ke
pā hī nā sakī raṅg tere jaisā kabhī bhī vo
kasam se kasam se
jhūmtī ghaṭā meṅ …

śhor yūṇ machātī haiṅ ye lahreṅ
jośh yūṇ dikhātā hai samaṅdar
us ko yūṇ lage hai gahrāī
jaise chhupī hai hāṇ chhupī hai
jaise chhupī hai bas us ke aṅdar
jab terī nazar paṛe vo tham hī jātā hai
hāy māre śharam ke
pā hī nā sakā gahrāī terī āṇkhoṅ sī vo
kasam se kasam se
ho jhūmtī ghaṭā meṅ …