झूम झूम के नाचो आज गाओ आज गाओ खुशी के गीत हो
झूम झूम के नाचो आज गाओ आज गाओ खुशी के गीत हो
गाओ खुशी के गीत
आज किसी की हार हुई है, आज किसी की जीत हो
गाओ खुशी के गीत
झूम झूम के …
कोई किसी किसी की, आँख का तारा
जीवन साथी, साजन प्यारा
और कोई तक़दीर का मारा
ढूँढ रहा है दिल का सहारा
किसी को दिल का दर्द मिला है, किसी को मन का मीत हो
गाओ खुशी के गीत
झूम झूम के …
देखो तो कितना, खुश है ज़माना
दिल में तरंगे लब पे तराना
बन्द आँख आँसू न बहाना
ये तो यहाँ का ढंग पुराना
इसको मिटाना उसको बनाना, इस नगरी की रीत हो
गाओ खुशी के गीत
झूम झूम के …
jhūm jhūm ke nācho āj gāo āj gāo khuśhī ke gīt ho
gāo khuśhī ke gīt
āj kisī kī hār huī hai, āj kisī kī jīt ho
gāo khuśhī ke gīt
jhūm jhūm ke …
koī kisī kisī kī, āṇkh kā tārā
jīvan sāthī, sājan pyārā
aur koī taqdīr kā mārā
ḍhūṇḍh rahā hai dil kā sahārā
kisī ko dil kā dard milā hai, kisī ko man kā mīt ho
gāo khuśhī ke gīt
jhūm jhūm ke …
dekho to kitnā, khuśh hai zamānā
dil meṅ taraṅge lab pe tarānā
band āṇkh āṇsū na bahānā
ye to yahāṇ kā ḍhaṅg purānā
isko miṭānā usko banānā, is nagrī kī rīt ho
gāo khuśhī ke gīt
jhūm jhūm ke …