āsmāṇ ke nīche, ham āj apne pīchhe
pyār kā jahāṇ, basā ke chale
kadam ke niśhāṇ, banā ke chale, āsmāṇ …
tum chale to phūl jaise āṇchal ke rṇg se
saj gaī rāheṅ, saj gaī rāheṅ
pās āo mai pahnā dūṇ chāhat kā hār ye
khulī khulī bāheṅ, khulī khulī bāheṅ
jis kā ho āṇchal khud hī chaman
kahiye, vo kyūṇ, hār bāhoṅ ke ḍāle, āsmāṇ …
boltī haiṅ āj āṇkheṅ kuchh bhī na āj tum
kahne do hamko, kahne do hamko
bekhudī baṛhtī chalī hai ab to khāmośh hī
rahne do hamko, rahne do hamko
ik bār ek bār, mere liye
kah do, khankeṅ, lāl hoṅṭhoṅ ke pyāle, āsmāṇ …
sāth mere chal ke dekho āī haiṅ dūr se
ab kī bahāreṅ, ab kī bahāreṅ
har galī har moṛ pe vo donoṅ ke nām se
hamko pukāre, tumko pukāre
kah do bahāroṅ se, āe na idhar
un tak, uṭhkar, ham nahīṅ jāne vāle, āsmāṇ …