Jeevan kee bagiyaan mahkegee, lahkegee, chahkegee

जीवन की बगियाँ महकेगी, लहकेगी, चहकेगी
Year
Language

जीवन की बगियाँ महकेगी, लहकेगी, चहकेगी
खुशियों की कालियाँ झुमेंगी, झुलेंगी, फूलेंगी

वो मेरा होगा, वो सपना तेरा होगा
मिलजुल के माँगा, वो तेरा मेरा होगा
जब जब वो मुस्कुरायेगा, अपना सवेरा होगा
थोड़ा हमारा, थोड़ा तुम्हारा, आयेगा फिर से बचपन हमारा

हम और बंधेंगे, हम तुम कुछ और बंधेंगे
होगा कोई बीच तो हम तुम और बंधेंगे
बाँधेगा धागा कच्चा, हम तुम तब और बंधेंगे
थोड़ा हमारा, थोड़ा तुम्हारा, आयेगा फिर से बचपन हमारा

मेरा राजदुलारा, वो जीवन प्राण हमारा
फूलेगा एक फूल, खिलेगा प्यार हमारा
दिन का वो सूरज होगा, रातों का चाँद सितारा
थोड़ा हमारा, थोड़ा तुम्हारा, आयेगा फिर से बचपन हमारा

jīvan kī bagiyāṇ mahkegī, lahkegī, chahkegī
khuśhiyoṅ kī kāliyāṇ jhumeṅgī, jhuleṅgī, phūleṅgī

vo merā hogā, vo sapnā terā hogā
miljul ke māṇgā, vo terā merā hogā
jab jab vo muskurāyegā, apnā saverā hogā
thoṛā hamārā, thoṛā tumhārā, āyegā phir se bachapan hamārā

ham aur baṅdheṅge, ham tum kuchh aur baṅdheṅge
hogā koī bīch to ham tum aur baṅdheṅge
bāṇdhegā dhāgā kachchā, ham tum tab aur baṅdheṅge
thoṛā hamārā, thoṛā tumhārā, āyegā phir se bachapan hamārā

merā rājdulārā, vo jīvan prāṇ hamārā
phūlegā ek phūl, khilegā pyār hamārā
din kā vo sūraj hogā, rātoṅ kā chāṇd sitārā
thoṛā hamārā, thoṛā tumhārā, āyegā phir se bachapan hamārā