Jeet hee lenge baazee ham tum, khel adhooraa chhute na

जीत ही लेंगे बाज़ी हम तुम, खेल अधूरा छुटे न
Year
Language

रफ़ी: जीत ही लेंगे बाज़ी हम तुम, खेल अधूरा छूटे न
प्यार का बंधन, जन्म का बंधन, जन्म का बंधन टूटे न

मिलता है जहाँ धरती से गगन, आओ वहीं हम जाएं
तू मेरे लिये, मैं तेरे लिये - 2
इस दुनिया को ठुकरायें - 2
दूर बसा ले दिल की जन्नत - 2
जिसको ज़माना लूटे ना, प्यार का बंधन

लता: मिलने की खुशी ना मिलने का गम, खत्म ये झगड़े हो जाएं
तू तू ना रहे, मैं मैं ना रहूँ - 2
इक दूजे मैं खो जाएं - 2
मैं भी ना छोड़ूं पल भर दामन - 2
तू भी पल भर रूठे ना, प्यार का बंधन …

rafī: jīt hī leṅge bāzī ham tum, khel adhūrā chhūṭe na
pyār kā baṅdhan, janm kā baṅdhan, janm kā baṅdhan ṭūṭe na

miltā hai jahāṇ dhartī se gagan, āo vahīṅ ham jāeṅ
tū mere liye, maiṅ tere liye - 2
is duniyā ko ṭhukrāyeṅ - 2
dūr basā le dil kī jannat - 2
jisko zamānā lūṭe nā, pyār kā baṅdhan

latā: milne kī khuśhī nā milne kā gam, khatm ye jhagaṛe ho jāeṅ
tū tū nā rahe, maiṅ maiṅ nā rahūṇ - 2
ik dūje maiṅ kho jāeṅ - 2
maiṅ bhī nā chhoṛūṅ pal bhar dāman - 2
tū bhī pal bhar rūṭhe nā, pyār kā baṅdhan …