Jeene vaalon o jeene vaalon ... jeevan chhuk chhuk gaaree kaa khel

जीने वालों ओ जीने वालों ... जीवन छुक छुक गाड़ी का खेल्
Work
Year
Language

जीने वालों ओ जीने वालों जीवन छुक छुक गाड़ी का खेल
कोई कहीं पे बिछड़ गया किसी से हो गया मेल
जीने वालों ओ जीने वालों …

आगे guard driver है पीछे guard मुक़द्दर है
वो सीटी वो ही बजाता है झंडी हरी दिखाता है
कभी चले पटरी पे कभी पटरी से उतर जाए रेल
जीने वालों ओ जीने वालों …

सीटी बजी गाड़ी चल दी तुम बदलो काँटा जल्दी
बहते आँसुओं को रोको और हँसी का signal दो
paas fail का ग़म न करो इस खेल को समझो खेल
जीने वालों ओ जीने वालों …

मेरा station गुज़र गया है मैं रस्ते में उतर गया
मेरी मंज़िल बदल गई गाड़ी आगे निकल गई
बिना ticket मैं पकड़ा गया सीधा पहुंच गया जेल
जीने वालों ओ जीने वालों …

jīne vāloṅ o jīne vāloṅ jīvan chhuk chhuk gāṛī kā khel
koī kahīṅ pe bichhaṛ gayā kisī se ho gayā mel
jīne vāloṅ o jīne vāloṅ …

āge guard driver hai pīchhe guard muqaddar hai
vo sīṭī vo hī bajātā hai jhaṅḍī harī dikhātā hai
kabhī chale paṭrī pe kabhī paṭrī se utar jāe rel
jīne vāloṅ o jīne vāloṅ …

sīṭī bajī gāṛī chal dī tum badlo kāṇṭā jaldī
bahte āṇsuoṅ ko roko aur hṇsī kā signal do
paas fail kā ġham na karo is khel ko samjho khel
jīne vāloṅ o jīne vāloṅ …

merā station guzar gayā hai maiṅ raste meṅ utar gayā
merī maṅzil badal gaī gāṛī āge nikal gaī
binā ticket maiṅ pakaṛā gayā sīdhā pahuṅch gayā jel
jīne vāloṅ o jīne vāloṅ …