āne se uske āe bahār
jāne se uske jāe bahār
baḍī mastānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā
gungunāe aise jaise bajte ho ghuṅgru kahī pe
āke parabtoṅ se jaise girtā ho jharnā jamīṅ pe
jharnoṅ kī mauj hai vo, maujoṅ kī ravānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā
ban sṇvar ke nikle, āe sāvan kā jab jab mahīnā
har koī ye samjhe, hogī vo koī chaṅchal hasīnā
pūchho to kaun hai vo, rut ye suhānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā
is ghaṭā ko maiṅ to uskī āṇkhoṅ kā kājal kahūṇgā
is havā ko maiṅ to uskā lahrātā āṇchal kahūṇgā
kaliyoṅ kā bachapan hai, phūloṅ kī javānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā
bīt jāte haiṅ din, kaṭ jātī haiṅ āṇkhoṅ meṅ rāteṅ
ham nā jāne kyā kyā, karte rahte haiṅ āpas meṅ bāteṅ
maiṅ thoḍā dīvānā, thoḍīsī dīvānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā
sāmne maiṅ sab ke nām uskā nahī le sakūṇgā
vo śharam ke māre ruṭh jāe to maiṅ kyā karūṇgā
huroṅkī malikā hai, parīyoṅ kī rānī hai, merī mehbūbā
merī jiṅdgānī hai, merī mehbūbā