Jeene ke bahaane laakhon hain jeenaa tujhko aayaa hee naheen

जीने के बहाने लाखों हैं जीना तुझको आया ही नहीं
Year
Language

( जीने के बहाने लाखों हैं ) -2 जीना तुझको आया ही नहीं
कोई भी तेरा हो सकता है कभी तूने अपनाया ही नहीं
जीने के बहाने …

क्‌यों दिल में तेरे अरमान नहीं दुनिया इतनी वीरान नहीं
हर तरफ़ उजाले हैं फिर भी तेरे साथ कोई साया ही नहीं
कोई भी तेरा हो …

क्‌या ग़म है जिसका इलाज नहीं कल ना था अगर क्‌या आज नहीं
हर ग़म का मरहम होता है दिल तूने दिखलाया ही नहीं
कोई भी तेरा हो …

तू ढूँढ कहीं जो क़रार मिले किसी मोड़ पे भी जो प्यार मिले
प्यासे को जाना पड़ता है सागर चल के आया ही नहीं
कोई भी तेरा हो …

( jīne ke bahāne lākhoṅ haiṅ ) -2 jīnā tujhko āyā hī nahīṅ
koī bhī terā ho saktā hai kabhī tūne apnāyā hī nahīṅ
jīne ke bahāne …

k‌yoṅ dil meṅ tere armān nahīṅ duniyā itnī vīrān nahīṅ
har taraf ujāle haiṅ phir bhī tere sāth koī sāyā hī nahīṅ
koī bhī terā ho …

k‌yā ġham hai jiskā ilāj nahīṅ kal nā thā agar k‌yā āj nahīṅ
har ġham kā maraham hotā hai dil tūne dikhlāyā hī nahīṅ
koī bhī terā ho …

tū ḍhūṇḍh kahīṅ jo qarār mile kisī moṛ pe bhī jo pyār mile
pyāse ko jānā paṛtā hai sāgar chal ke āyā hī nahīṅ
koī bhī terā ho …