Jaraa see aahat hotee hai to dil sochtaa hai

जरा सी आहट होती है तो दिल सोचता है
Work
Year
Language

ज़रा सी आहट होती है तो दिल सोचता है
कहीं ये वो तो नहीं, कहीं ये वो तो नहीं

छूप के सीने में कोई जैसे सदा देता है
शाम से पहले दिया दिल का जला देता है
है उसी की ये सदा, है उसी की ये अदा
कहीं ये वो तो नहीं

शक्ल फिरती है निगाहों में वही प्यारी सी
मेरी नस नस में मचलने लगी चिंगारी सी
छू गई जिस्म मेरा किसके दामन की हवा
कहीं ये वो तो नहीं

zarā sī āhaṭ hotī hai to dil sochtā hai
kahīṅ ye vo to nahīṅ, kahīṅ ye vo to nahīṅ

chhūp ke sīne meṅ koī jaise sadā detā hai
śhām se pahle diyā dil kā jalā detā hai
hai usī kī ye sadā, hai usī kī ye adā
kahīṅ ye vo to nahīṅ

śhakl phirtī hai nigāhoṅ meṅ vahī pyārī sī
merī nas nas meṅ machalne lagī chiṅgārī sī
chhū gaī jism merā kiske dāman kī havā
kahīṅ ye vo to nahīṅ