Jannat kee tasveer ... kashmeer na denge

जन्नत की तस्वीर ... कश्मीर न देंगे
Year
Language

जन्नत की तस्वीर न देंगे
हाथों में किसी ग़ैर के तक़दीर न देंगे
कश्मीर है भारत का कश्मीर न देंगे

धमकी से किसी ज़ुल्म की हम डर नहीं सकते
समझौता किसी देश से हम कर नहीं सकते
क्‌या छलेगा तू फूट यह घर है कबीर का
झगड़ा नहीं हो सकता है तुलसी से मीर का
जो फूल चमन का है चमन में ही खिलेगा
अब्दुल ही अपने देश पर मर मिटेगा
लुटने कभी आज़ादी की जागीर न देंगे
कश्मीर है भारत का …

परदेस से तूने हथियार मंगवाए
कलौर से नेट सेबरजेट गिराए
हथियारों से कर सकता नहीं दिल पे तू क़ब्ज़ा
ताक़त से बड़ा देश की ख़िदमत का है जज़्बा
गद्दार है वह हिन्द का जो प्यार तुझे दे
वह अमन का दुश्मन है जो हथियार तुझे दे
दीवाने के हम हाथ में कश्मीर न देंगे
कश्मीर है भारत का …

jannat kī tasvīr na deṅge
hāthoṅ meṅ kisī ġhair ke taqdīr na deṅge
kaśhmīr hai bhārat kā kaśhmīr na deṅge

dhamkī se kisī zulm kī ham ḍar nahīṅ sakte
samjhautā kisī deśh se ham kar nahīṅ sakte
k‌yā chhalegā tū phūṭ yah ghar hai kabīr kā
jhagaṛā nahīṅ ho saktā hai tulsī se mīr kā
jo phūl chaman kā hai chaman meṅ hī khilegā
abdul hī apne deśh par mar miṭegā
luṭne kabhī āzādī kī jāgīr na deṅge
kaśhmīr hai bhārat kā …

pardes se tūne hathiyār maṅgvāe
kalaur se neṭ sebarjeṭ girāe
hathiyāroṅ se kar saktā nahīṅ dil pe tū qabzā
tāqat se baṛā deśh kī khidamat kā hai jazbā
gaddār hai vah hind kā jo pyār tujhe de
vah aman kā duśhman hai jo hathiyār tujhe de
dīvāne ke ham hāth meṅ kaśhmīr na deṅge
kaśhmīr hai bhārat kā …