zarā sāmne to āo chhaliye
chhup chhup chhalne meṅ kyā rāz hai
yūṇ chhup nā sakegā parmātmā
merī ātmā kī ye āvāz hai
zarā sāmne …
ham tumheṅ chāhe tum nahīṅ chāho
aisā kabhī nahīṅ ho saktā
pitā apne bālak se bichhuṛ se
sukh se kabhī nahīṅ so saktā
hameṅ ḍarne kī jag meṅ kyā bāt hai
jab hāth meṅ tihāre merī lāj hai
yūṇ chhup nā sakegā parmātmā
merī ātmā kī ye āvāz hai
zarā sāmne …
prem kī hai ye āg sajan jo
idhar uṭhe aur udhar lage
pyār kā hai ye qarār jiyā ab
idhar saje aur udhar saje
terī prīt pe baṛā hameṅ nāz hai
mere sar kā tū hī sartāj hai
yūṇ chhup nā sakegā parmātmā
merī ātmā kī ye āvāz hai
zarā sāmne …