Janam janam kaa saath hai nibhaane ko

जनम जनम का साथ है निभाने को
Year
Language

जनम जनम का साथ है निभाने को
सौ सौ बार मैने जनम लिये
प्यार अमर है दुनिया में, प्यार कभी नहीं मरता है
मौत बदन को आती है, रूह का जलवा रहता है
ओ शहज़ादी सपनों की इतनी तू हैरान न हो
मैं भी तेरा सपना हूँ, जान मुझे अंजान न हो
तू मंज़िल मैं राही हूँ, एक दिन तुझको पाऊँगा
कौन मुझे अब रोकेगा, हरदम यूँ ही आऊँगा

janam janam kā sāth hai nibhāne ko
sau sau bār maine janam liye
pyār amar hai duniyā meṅ, pyār kabhī nahīṅ martā hai
maut badan ko ātī hai, rūh kā jalvā rahtā hai
o śhahazādī sapnoṅ kī itnī tū hairān na ho
maiṅ bhī terā sapnā hūṇ, jān mujhe aṅjān na ho
tū maṅzil maiṅ rāhī hūṇ, ek din tujhko pāūṇgā
kaun mujhe ab rokegā, hardam yūṇ hī āūṇgā