कोई पत्ता भी हिला ... खींच लाया है तेरा प्यार चले आए हैं
कोई पत्ता भी हिला तो ये समझा के तू है शायद
यूं तेरी राहों में आँखों को बिछा रखा है
ज़ुल्म दुनिया के सहे मुंह से मगर उफ़ न किया
यूं तेरे प्यार को सीने में छिपा रखा है
खींच लाया है तेरा प्यार चले आए हैं
तोड़ के दुनिया की दीवार चले आए हैं
खींच लाया है …
ज़िंदगी अब तेरी चाहत के सिवा कुछ भी नहीं
तेरी पूजा मुहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं
आज करने यही इकरार चले आए हैं
खींच लाया है …
उम्र जितनी भी है बाकी तेरी चाहत में कटे
तेरे चेहरे से नज़र प्यार की इक पल ना हटे
हम तेरी दुनिया में ऐ यार चले आए हैं
खींच लाया है …
रोक ले जो हमको ऐसा कोई तूफ़ान नहीं
प्यार की दुनिया मिटाना कोई आसान नहीं
हम ना मानेंगे कभी हार चले आए हैं
खींच लाया है …
koī pattā bhī hilā to ye samjhā ke tū hai śhāyad
yūṅ terī rāhoṅ meṅ āṇkhoṅ ko bichhā rakhā hai
zulm duniyā ke sahe muṅh se magar uf na kiyā
yūṅ tere pyār ko sīne meṅ chhipā rakhā hai
khīṅch lāyā hai terā pyār chale āe haiṅ
toṛ ke duniyā kī dīvār chale āe haiṅ
khīṅch lāyā hai …
ziṅdgī ab terī chāhat ke sivā kuchh bhī nahīṅ
terī pūjā muhabbat ke sivā kuchh bhī nahīṅ
āj karne yahī ikrār chale āe haiṅ
khīṅch lāyā hai …
umr jitnī bhī hai bākī terī chāhat meṅ kaṭe
tere chehre se nazar pyār kī ik pal nā haṭe
ham terī duniyā meṅ ai yār chale āe haiṅ
khīṅch lāyā hai …
rok le jo hamko aisā koī tūfān nahīṅ
pyār kī duniyā miṭānā koī āsān nahīṅ
ham nā māneṅge kabhī hār chale āe haiṅ
khīṅch lāyā hai …