ho chhal chhal chhalke in āṇkhoṅ kī gagriyā ye zālim javānī taṛpāe
malmal kī ye halkī chunriyā ki jitnā saṅbhālūṅ gir jāe
ho chhal chhal chhalke …
apne hī chaṅchal man ko kosūṅ kāhe ko niklī thī bajriyā
kisne nazriyā ke tīr chalāe chhalnī ho gaī morī chunriyā morī chunriyā
dekho re sakhī kahīṅ bhāg na jāe mohe karke vo zakhmī
hāy chhal chhal he chhal chhal …
ai ruk ek madhuban kī hirniyā kanhaiyā torī nagrī meṅ āe
ek jhalak bas daras dikhā de kāhe chunrī meṅ mukhaṛā chhipāe
ai ruk ek madhuban kī …
apnā bhī dil prem dīvānā tumrā akelā doṣh nahīṅ
āyā kahāṅ se jānā kahāṅ hai itnā bhī ab to hośh nahīṅ
tohrī nagriyā kī uljhī ḍagriyā ho
jaise jogniyā ho laṭ uljhāe
ruk ruk he ruk ruk …
o dhartī chale ākāśh ko chhūne leke uṭhe jab aṅgaṛāī
par kitnā hai bholā tū pardesiyā torī akal pe maiṅ śharmāī
hote haiṅ javānī ke din aise jaise chiṛiyā ke par lag jāeṅ
chhal chhal …