Jalte hain jis ke liye, teree aankhon ke diye

जलते हैं जिस के लिये, तेरी आँखों के दिये
Work
Year
Language

जलते हैं जिसके लिये, तेरी आँखों के दिये
ढूँढ लाया हूँ वही, गीत मैं तेरे लिये
जलते हैं जिसके लिये

दर्द बनके जो मेरे दिल में रहा ढल ना सका
जादू बनके तेरी आँखों में रुका चल ना सका
आज लाया हूँ वही गीत मैं तेरे लिये
जलते हैं जिसके लिये

दिल में रख लेना इसे हाथों से ये छूटे न कहीं
गीत नाज़ुक है मेरा शीशे से भी टूटे न कहीं
गुनगुनाऊंगा यही गीत मैं तेरे लिये
जलते हैं जिसके लिये

जब तलक ना ये तेरे रस के भरे होंठों से मिले
यूँ ही आवारा फिरेगा ये तेरी ज़ुल्फ़ों के तले
गाये जाऊंगा यही गीत मैं तेरे लिये
जलते हैं जिसके लिये

jalte haiṅ jiske liye, terī āṇkhoṅ ke diye
ḍhūṇḍh lāyā hūṇ vahī, gīt maiṅ tere liye
jalte haiṅ jiske liye

dard banke jo mere dil meṅ rahā ḍhal nā sakā
jādū banke terī āṇkhoṅ meṅ rukā chal nā sakā
āj lāyā hūṇ vahī gīt maiṅ tere liye
jalte haiṅ jiske liye

dil meṅ rakh lenā ise hāthoṅ se ye chhūṭe na kahīṅ
gīt nāzuk hai merā śhīśhe se bhī ṭūṭe na kahīṅ
gungunāūṅgā yahī gīt maiṅ tere liye
jalte haiṅ jiske liye

jab talak nā ye tere ras ke bhare hoṅṭhoṅ se mile
yūṇ hī āvārā phiregā ye terī zulfoṅ ke tale
gāye jāūṅgā yahī gīt maiṅ tere liye
jalte haiṅ jiske liye