Jaltaa hai jiyaa meraa bheegee bheegee raaton men

जलता है जिया मेरा भीगी भीगी रातों में
Work
Year
Language

जलता है जिया मेरा भीगी भीगी रातों में
आजा गोरी, चोरी चोरी, अब तो रहा नहीं जाए रे

गुलाबी ये प्याले है तेरे हवाले
तू भी दिलकी लगी को बुझा ले
फिर न आये कभी ऐसी रात

पिलाई है तुमने जो प्यासे को शबनम
दिल के शोले भला कैसे हो कम
बनके बादल करो बरसात

अभी ये फ़साना हमे ना सुनाना
देखो राजा, कदम ना बढ़ाना
नहीं छेड़ो ऐसी वैसी बात

jaltā hai jiyā merā bhīgī bhīgī rātoṅ meṅ
ājā gorī, chorī chorī, ab to rahā nahīṅ jāe re

gulābī ye pyāle hai tere havāle
tū bhī dilkī lagī ko bujhā le
phir na āye kabhī aisī rāt

pilāī hai tumne jo pyāse ko śhabnam
dil ke śhole bhalā kaise ho kam
banke bādal karo barsāt

abhī ye fasānā hame nā sunānā
dekho rājā, kadam nā baṛhānā
nahīṅ chheṛo aisī vaisī bāt