Jalne vaale to jalte rahenge ... bas teree aarazoo hai aap hain nigaahon men

जलने वाले तो जलते रहेंगे ... बस तेरी आरज़ू है आप हैं निगाहों में
Work
Year
Language

जलने वाले तो जलते रहेंगे हाथ को अपने मलते रहेंगे
खुल के करेंगे हम प्यार चिक दुम

बस तेरी आरज़ू है आप हैं निगाहों में चिकि दुम
अपनी यो ज़िंदगी है यार तेरी बाहों में
तेरे बिना ना जीना गंवारा
देखा दिलदार तुझको प्यार में है दिल हारा
जलने वाले तो …

शमा हूँ मैं तेरी और तू मेरा परवाना है चिकि दुम
मजनूं रांझे का ना फ़रहाद का ज़माना है चिकि दुम
आजा इन्हें हम ऐसे जलाएं
दीवानों की कभी भी राह में ना ये आएं
जलने वाले तो …

jalne vāle to jalte raheṅge hāth ko apne malte raheṅge
khul ke kareṅge ham pyār chik dum

bas terī ārazū hai āp haiṅ nigāhoṅ meṅ chiki dum
apnī yo ziṅdgī hai yār terī bāhoṅ meṅ
tere binā nā jīnā gaṅvārā
dekhā dildār tujhko pyār meṅ hai dil hārā
jalne vāle to …

śhamā hūṇ maiṅ terī aur tū merā parvānā hai chiki dum
majnūṅ rāṅjhe kā nā farhād kā zamānā hai chiki dum
ājā inheṅ ham aise jalāeṅ
dīvānoṅ kī kabhī bhī rāh meṅ nā ye āeṅ
jalne vāle to …